Mene khidki se jhaank kar dekha… toh sehmi si roshni thi aaj,
Socha kis tam me kho gaya yeh ujala…
Ja ker poocha ki aaj yeh andhtam sa din kyu he
Pata chala aaj samman
ne apni hasti kho di
Samman kis ka?
Ek janni ka..ek jeevan ka.. ek janmdatri ka !!!!
Bola esa toh pehle bhi hua tha, yeh toh roz hota he
Roz toh ujala apni aanch nhi khota he
Toh uttar mila aaj dhairya ne bhi apni hasti kho di he
Dhairya kis ka?
Ek maa ka, ek pita ka ek bhai ka ek samaaj ka
Fir ek sawaal ubhar ke aaya
Kab tak rahega yeh drishya…?
Uttar nahi tha….
Shayad he bhi nahi..
Hum aadi he har paristithi ke
Darr he ki yeh sehmi si roshni huamare jeevan ka hissa na
ban jaye..
Aur apmaan ki kahaani bas ek kissa na ban jaye L
nice thought
ReplyDeleteThanks Dear :)
ReplyDelete