Astra The Shastra Sahastra
Aseem Rann Khada Hua,
Door Rann Ko Dekhta
Vichlit Manushya Khada Hua...
Manushyata Jo Sadiyon Ne
Ekatra Ho Ukeri Thi,
Us Akriti Ke Roop Ko
Vikrit Ker Rahe Hai Sab...
Har Koi Us Manushyata Ki Aah Sun Bhi Na Pighal Saka,
Taar Taar Har Prakaar
Woh Amaanviya Adaa Hua..
Shanti Ne Apne Vastro Ko Tanik Sameta Jo Ho Rahe The Ast Vyasta
Haanfti, Ghabrati, Dabdabati, Chote Kadmo Se Badhti Hui
Ek Chaanv Ped Ki Bani Uski Rakshak,
Sustaayi Aankho Ko Poncha , Kuch Pal Me Dhandhas Bandhaya
Aankh Kab Lagi Pata Nahi Tha Usko Kuch..
Jab Aankh Khol Ke Jhaanka Saaf Aasma Tha Prakashit Anupam,
Tab Woh Thitki, Woh Vriksha Kahan Mera Kavach Jo Bana Tha Raat Bhar,
Aankho Se Khoon Beh Nikla Woh Vriksha Usi Kone Me Tha Kata Pada Hua..
Har Jagah Dvesh Aur Karkashta Thi Phaili Hui
Manushya Ke Hath Me Hathiyaar Hi Khilona The
Dekhte Na Woh Kisi Ki Saans Ko
Sunte Na Kisi Ki Aah Ko
Bas Nagna , Daanvi, Hatthi Manushyata Ko Nochte Rahe..
Aur Desh Tha Wahan Aseem Sambhavnao Ko Daba
Amook , Asahay, Nirbal, Dayniya Sa
Ek Sthaan Jada Hua.. !!!!

No comments:
Post a Comment